Malini ji ko pahli baar ndtv junoon mai dekha tha. Mai fan ho gaya unka.unki gayaki se
jyada jab wo bolti thi lupt ho rahe lokgeet sanskriti ko kaise wapas laya
jay,preservation kaise kare–ye sab sochne wali is gayika se prabhavit hua tha
mai..phir mahua channel aaya..ek bhojpuria hone ke naate mai ek episode bhi miss nahi karta
tha…manojji ka bolne ka andaj aur Bhojpuri lata mangeshkar kalpanaji jinko mai
swam sarashwati,ma bhagwati ka roop manta hu.inlogo ke saath jab maliniji ko
dekha aur khush hua mai.. sur sangram-bhojpuriya gaurav hai..idhar bhi maliniji
ne lok sanskriti ki baat ki ,achchha tha…lekin dheere dheere wo over confident
hone lagi aur bhojpuri show me baith ke Bhojpuri sangeet ko hi aslil bolne
lagi..tab mera inke prati shraddha kam hua..aslilta har jagah hai,aap kya kaam
kar rahi hai isko khatam karne ke liye-sakaratmak soch rakhte hue aap as and
artist kya kar rahi hai Bhojpuri sangeet ke liye, ye sochne wali baat ahi..aap
sirf logo ko,ek sansriti ko gali deti hai..aur hairaan mai tab hua jab GIRJA
DEVI ki ye shishya hindi film AGENT VINOD mai wo gaana gai,wo shabd gaaye jiska
kabhi wo khud virodh karti thi..gana hai…yu to premi pasattar hamare,leja tu
kar satattar ishare,kya daam hai bolo kato raside,phir tumse KARWALE JAISA BHI
CHAHE...dil mera muft ka..KYA ISSHARA,KAISA ISHARA,KOUN KOUN SE ISHARE..humko
sex samajh mai aaya..pahli baat thumri dadra gayika ko shobha nahi deta.ye geet.ye
geet sunidhi chauhan,mamta sharma ya kalpanaji ko gana chahiye..aapko nahi..bhojpuri agar
aslilta hai to chhath geet aur nirgun bhi hai..lekin do chehra leke nahi chalti
Bhojpuri..malini ji hamesha aur sirf loksanskriti ke liye bolti hai..kuch karti
nahi..virodh bahut karti hai kabhi manojji ka to kabhi kalpana ji ka..mai inse
poochna chahta hu WHAT IS YOUR CONTRIBUTION TO OUR BHOJPURI SANGEET.bharat
sharma,sharda sinha,manoj tiwari ,kalpana,devi,pawan singh,khesari aur to aur
kallu ka bhi yogdaan hai..is Bhojpuri industry ko failane me..aap mane ya nahi
mane..har ek ne apne tarike se yogdaan kia..agent vinod hindi fim hai ,isliye kya
aap apni hi baat se hatkar pateet hone mei ekbaar bhi nahi socha..PHIR TUMSE
KARWA LE JAISA BHI CHAHE…kya karne ki baat ho rahi hai ..bhojpuri ke aslil geet
ya dwiarthi geeto ko samajhne wali malini kya ye samajh nahi payi ki alag alag
position aur mudra ki baat ho rahi ahi..ya phir ye hindi hai isliye nahi samjhna
chahti hai aap????
No comments:
Post a Comment